Sard hawaaon ka december hai..
Teri yaadon ka pashmeena odhe..
Thithurta hai..rooh ka jard saaya..!!!
-Ashfaq
Sard hawaaon ka december hai..
Teri yaadon ka pashmeena odhe..
Thithurta hai..rooh ka jard saaya..!!!
-Ashfaq
Halke se lamhe mein..halka sa tabassum..
Umra ke meethe mod pe milke..
Ishq ne mausamon pe ehsaan kiya hai.!!!
-Ashfaq
Simat ke saari taakat lau jal uthi..
Khudi ko aajmane ki koshish mein..
Chiragon ne khudkushi kar li…!!
-Ashfaq
Ek dafa to kaha hota tumne..
Ek wo baat jo dabi thi hothon tale..
Maani mil jaate..hayaat ko..sadiyon tak..!!
-Ashfaq
Kis baat ki shukraguzari
Adaa karun sahib..
Baharein bhi aapki hain
Aur patjhad bhi aapki…!!!
-Ashfaq
Bada khoobsurat hai
Hamaare darmiyaan ka
Andaaz e bayaan…
Roohein bhi talaashati hain..
Kya jahir aur kya baaqi…!!
-Ashfaq
Tere khayalon ki sohabat ab belutf si lagti hai jaanan..
Yakinan tumhari ibaadat mein duaaon ki kami si hai
-Ashfaq
Is jahan ke kisi satah par..
Koi kahe ki tumhein kahin dekha hai..
To bas muskura dena..
Us shakhs ne meri najmein padhi hongi..!!
-Ashfaq